Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Mujhe pacho waqt k namaj k surra,niyat,dua,nahi aata is liye mujhe pacho waqt k namaj k niyat,surra,dua bhaje taki m likh lo or namaj m padru or jumma k v 
Answer Niyat : Ager ap ko ye maloom ho ke ap ye namaaz – masalan fajar – Allah Taala ka taqarrub hasil karne ke liye or apni pasti ka Us Zaat e Wala ke huzoor izhaar karne ke liye phar rahe hai to ye maloom hona hi niyat hai, in alfaaz ( main 2 rakat namaaz e fajar pharta hon qurbatan lil-llah yani Allah ke liye) ko zabaan per lana zarori nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 930). Sura : or pancho namazo ki 1st or 2nd rakat main pehle sura e al-hamd (sura no 1) phir is ke baad Quraan e Majeed ke suroo (siwaae sura no 93, 94, 105, 106 ke) main se koi bhi ik mukammal (ehtyaat wajib ke madd e nazar) sura pharain, or namazo ki 3rd or 4th rakat main 1 martaba sura e al-hamd ya 1 martaba tasbehaat e arba-a or beter hai ke 3 martaba tasbehaat e arba-a phare (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 965 , 992). Dua : koi bhi dua phari ja sakti hai lehaza is ke liye duaao ki kitaboo ki taraf ruju karain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1106 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.