Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Mari shadi ho choki ha love marg hoi ha mary susral ma koi razi nh tha mara sawal ye ha k mary susral walo ni mary shuhar sa zabardasti talak dilwai 6 br mo sa bola ha hum dono sat rahna chaty h ab ap batay k hamari talak ho gai k nh? 
Answer Talaaq ke waqt neche bayaan karda tamaam sharait ka hona zarori hai, pas ager talaaq ke waqt tamaam sharait thi to talaq sahi hai, or ager 1 shart bhi kam thi to ab tak ap un ki bivi hain, .1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k mard talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.