Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Aoa. Main ek larkey ko pasand krti hun lekin us k ghar walon ki taraf se masla aa rha hai wo razi nahi hain. larka mujhse hi shadi krna chahta hai usne unhen mananey ki boht koshish ki. Maine shadi mein rukawatein dur hone k liye Allah k pak naam aur Qurani suratein parh k wazifey bhi kiye hain. Pehle meri ammi ne kuch arsa pehle istikhara kia k wo larka mere haq mein behtar rhae ga ya nahi. Dua parh k so gai theen. Un k khuab mein ek safaid rang ki boht khubsurat billi ai aur sath uska boht pyara safaid hi rang ka bacha sb un dono ko pyar kr rhe hote hain. Larka abhi bhi apne ghar walon ko mananey ki koshish kr rha hai. Kuch din pehle maine istikhara kia k us se shadi krna mere haq mein theek rahe ga ya nahi. Dua parh k so gai thi main. Mere khuab mein aya k main kisi school mein hun. Wahan achanak missiles se hamley shru ho jate hain. kisi bache ko bhagtey ya zakhmi ya mara hua nahi dekha maine school khali hota hai. Main hikmat k sath dushman k kisi important bndey ko halaaq kr deti hun jis k baad hamley ruk jate hain. Ye ek boht bara kaarnama hota hai ic liye mere honor mein ek taqreeb rakhi jati hai. Hazaron log ae hote hain. Sb kharey hote hain jese jalsa ho rha ho. Phr mujhe stage pe bula k Tamgha-e-jurrat type koi eizaz dia jata hai aur sb azka naseem zindabaad k naarey lganey lag jate hain. Us waqt mujhe khud pe boht fakhar ho rha hota hai. Phr ek safaid aur sabz rang ki bus khari hoti hai main us mein beth j ghar chali jati hun. Kindly mujhe bta dijiye k mere aur meri ammi k khuab k baad mujhe kya krna chahiye. Main ici larkey se shadi krna chahti hun kahen aur shadi nahi kr skti.  
Answer Wssalam o alykum, Sura e Ahzaab (sura # 33) ko hath say likh kar ik dabbay(box) mai band kar ke apne ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz ik bar parh kar dua mangain (or phir jo bhi ho Allah ki marzi maan kar dil o jaan se qabool kar lain). (Ref : Naway e salaheen pg # 352). Wazifa batanay k sath aap ko ik Shariat e Muqaddasa ke maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: is terhan ki mohabbat o dosti jaiz nahi Shariat e Muqaddasa main. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.