Answer |
Wssalam o alykum, Shadi mustabbat e muakkada main se hai, jesa ke Ap (s.a.w) se marvi hai ke jo shadi kar leta hai wo apna aadha deen bacha leta hai. Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masala # 385 , eidition # 5).
Or ager ap ke waaldain ap se mohabbat ki waja se un rasmo ke karne ko keh rahe hain jin se Shariat e Muqaddasa ki nafarmani nahi hoti or ager un ke is hokum ki mukhalifat karain to un ko takleef ho gi to ap per un rasmoo ko hone dena wajib hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1387).
Or sura taha ki ayat no 131 or 132 ko likh kar bazo par band lain. (Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 79 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). |