Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question ASLAM-OALAIKUM WA REHMATULLAH WA BARAKAT-O-HO MUNTAZIR IMAM MEHDI A-S AZADAR-E-HUSSAIN A-S JANAB, 1- MERA SAWAL YE HAI KEH HUM JO NIMAZ PANJGANA PERHTAY HAIN NIMAZ SE PEHLAY YA BAAD MAIN JO NIMAZ NAFAL YA SUNAT PERHNI HOTI HAI UN KI TASDIQ KIJIAY KE PANJGANA NIMAZ SE PEHLAY YA BAAD JO NIMAZAIN ADA KERNAI HAIN UN MAIN KIN NIMAZOON KI NIYAT SUNAT KI AUR KIN KI NIYAT NAFAL NIMAZ KI KERNI HAI ????? 2- NIMAZ-E-JUMAH AGAR HUM KISI AISI JAGAH PER HAIN KEH JAHAN IMAM BARAGAH NAHIN HAI YA HUM WAHAN PER JA NAHIN SAKTAY AUR NIMAZ-E-JUMAH HUMAIN YAAD BHI NAHIN LEKIN ADA KERNA CHAHTAY HAIN TUO ????? 3- ISS K ILAWAHNIMAZ-E- SHAB AUR NIMAZ-E-SHAB-E-JUMAH KI ADAIGI KI SAHI TARTIB AUR SAHI TARIQA KYA HAI ????? 4- AUR IN K ILAWA KON KON SEE NIMAZAIN HAIN JIN KI ADAIGI KI FAZILAT BOHAT ZYADA HAI ????? 5- AUR KYA AULAD APNAY WALDAIN KI ZINDAGI MAIN UN KI QAZA NIMAZAIN PERH SAKTI HAI ????? 6- AZADARI KI KYA FAZILAT HAI AUR ZUNJEER ZANI AUR AAG K MATAM KI KYA MASLEHAT HAI LOOG AKSAR HUM SE POCHTAY HAIN KEH TUM ZANJEER ZANI Q KERTAY HO AUR AAG KA MATAM Q KERTAY HO ? MAIN KHUD BHI ZANJEER ZANI KERTA HOON MERA TOU MANNA YE HAI KEH HUM ISHQ-E-HUSSAIN A-S MAIN ZANJEER ZANI KER K IMAM A-S K SATH KARBALA MAIN SHAMOLIYAT KA IZHAR KERTAY HAIN AUR KARBALA WALOON KA SOOG MANATAY HAIN AAP KA IS MASLAY K BARAY MAIN KYA KEHNA HAI ????? 7- AUR MUJHAY PATA CHALA THA KEH KISI MUJTAHID NE ZANJEER ZANI SE MANA KIYA THA AUR KAHA THA KEH ZANJEER ZANI KERNAY SE BEHTAR HAI KEH AAP KISI KO KHOON KA ATIYA DE DAIN ISS MAIN KITNI SACHAI HAI WESE MAIN NE KABHI BHI KISI KO KHOON DENE SE INKAAR NAHIN KIYAAGAR KISI KO KHOON KI ZAROORAT PER JAY AUR MUJH SE TALAB KERAY TOU MAIN ZAROOR DETA HOON CHAHAY MAIN USI WAQT ZANJEER ZANI KER K AAYA HOON TOU AISI HALAT MAIN BHI AZADARI SE MANA KERAIN GAY ????? MERE IN SAWALON K JAWAB MEHARBANI KER K MERE EMAIL ADD PER BHAIJ DAIN ALI MURTAZA MUNTAZI AL MEHDI K NAAM SE MERI FACE BOOK HAI AAP K LIAY TAHYAAT DUA GO AUR AAP KI DUAOON KA TALAB GAAR (ALI MURTAZA JAFRI) 
Answer Wssalam o alykum, 1 – is maqaam main sunnat or nafil main koi farq nahi hai, or jahan tak niyat ki baat hai to ager ap ko maloom hai ke ap masalan fajar ki nafil o sunnat namaaz 2 rakat Allah Taala ke liye parh rahen hain to ye janna hi niyat hai or is ko zabaan se boolna zarori nahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 752 , 930). 2 – to Namaaz e Zuhar pharain(agr namaz jamat ki sharten puri na hon to par nahi sakte). (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 720). 3 – mukammal tareqa duaaon ki kitaboon main mojood hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 753). 4 – Namaaz e Shab or rozana ki wajib namazoo ki nafil namazoo ki takeed bohat ziyada hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 752). 5 – Jab tak ionsan zinda hai tab uski namaz koi or nahi parh sakta.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1371 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.