Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question aoa..... ager peshab k qatray mehsos hon,peshab karnay k bad,or app hallat-e-namaz mn hon,to namaz tot gai???or istibra ka tareeka in detail plz???? 
Answer Ager us shaks ko pata nahi ke wo qatre pishab ke hen to Jis shakhs ne peshab k baad istibra kiya ho or is k bad koi ratoobat kharij ho jis k bare men wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. Aur agar kisi shakhs nai istebra na kiya ho or peshab krne k bad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi or is se wazu bhi batil na ho ga.Or agr mashkuk ratubat pishaab ke baad or itibraa se pehle kharij ho to wo pishab ka hokum rakti hai or pishaab mubtilaat e wazoo main se hai. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 70, 322) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Agr us shakhs ko pata ho ke pishaab ke qatre hen to ager ye un logon men se hai jo is marz men mubtala hain to zaruri hai ke in logon ke ahkaam per amal kare,or agr is ko ye marz nahi hai or pata ho ke pishaab ke qatre hen to us ke namaaz batil hai (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 306 to 314, 1113) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Istebra ek mustahab amal hai jo mard hazrat peshab k bad is wajah se anjam dete hen take ye itminan ho jaye k pishab ki nali men peshab baki nahi raha, Is ka tareeqa ye hai k peshab se farigh hone k bad baaen haath(left hand) ki darmiyani ungli(middle finger)ha usko pakhane k maqam se peshab ki nali ki jarh tak sonten(wipe) kren or is k bad angothe ko peshab ki nali k uper or or anguthe k sath wali ungli ko peshab ki nali k neche rakhen or daba kar khatna k maqam tak le aen phir 3 dafa jatkein. Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 70) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.