Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatullah Sistani  
Question Salam Walidain ki marzi se mera mere 1st cousin se 3 saal pehlay rishta tay kar dia gaya tha. Guzishta saal hamara nikkah Pakistan mein hona tha magar kareebi rishtedar ki mautt ki waja say nahi ho saka to mein family k sath wapis agai. Abb shadi 2012 k akhir mein tay pai hai. To kia aik doosray ko samajhnay ki liay sirf baat cheet ki hadd tak hum muttah kar saktay hein? Hamara permanent nikkah Pakistan mein ho hoga jo k aik saal baad tay hai. Kia is soorat mein jub k sub kuch walidain ki apni marzi se tay hua hai aur shadi ki tareekh bhi tay hai mein baghair apnay walid se poochay mutah kar sakti hoon? Yaad rahay k kisi bhi physical relation k baghair sirf baat cheet ki had tak hi karna chahtay hein hum aur is ki hadd permanent nikkah tak rakhna chahtay hein hum. Mein 24 saal ki bashaoor larki hoon aur mere fiance 28 saal k basahoor insan. Hum dono ko islami values ka bohat khayal hai isi liay apni baat cheet ko bhi halal karna chahtay hein. Society ki waja say mein apnay father ya mother say shadi ki baat nahi kar sakti. Kindly batayye k is silsilay mein kia hukum hai. Walaikum Salam 
Answer Wssalam o alykum, kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah(chahe daaemi ho ya mutaah) nahi kersakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari na ho to us k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hai.(kawari na hone ka matlb ye hai k aisi larki jo talaaq yafta ho ya bewah ho or us ke shohar ne os kay sath hambistari/jima(intercourse)kia ho or oskay kawaraypan ko khatam kia ho or oski iddat bhi khatam ho chuki ho, agar zinaa ya aisay hi kisi kaam se oska kawaraypan khatam hua ho tu ye kawari hi kehlaay gi.). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzeeh_ul_masail, Edition#31th, masla#2341,2342)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.