Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Salam Aleykum, Muje kuch sawal poochna hai jo shadi shuda ke leya jaroori hai. 1) Shadi ke pahle raat jo dua humbistari se pahle parte hai naik aulad ke leya , kya wo sirf pahle baar jima ke waqt para jata hai ya harwaqt parsakte jab aulad chaheya??? 2)Sawal thoda ganda hai..per zaroori hai malum kerna..Kya biwi ko apne upar betha ker jima(intercource) kersakte hai?? aur agar usse hamila hojayge tau bache per asar padeyga? 3) Kya biwi se doggi style se jima(intercourse) kersakte hai. Kya isse honay wale bache per asar perta hai? 4)Meya kya biwi ke private part ko jabaan (toung) lagasakta hai, choos sakta hai?? kya isse maa ya bache per koe bura asar hoga??yeh janta hu ke Liquid nahi pena chaheya...gale se nahi utarna chaheya. 5) Kya biwi meya ke private part ko chuus sakte hai?? usse biwi ya hone wale bache per asar hoga?? yeh janta hu ke Liquid nahi pena chaheya...gale se nahi utarna chaheya. 6) Jima(intercourse) ke waqt baat kersakte hai?? 7)private part jima(intercourse) ke bad daiksakte hai...janbuz ker nahi...per bena lajat ke agar daikre ..safai kerne.kya daaiksakte hai? Please muje khulker batayea. Hum meya-biwi yeh sab yeh roksakte hai. So please khulkar bateya. Agar aapse sawaal na karo atau kisse kare phir? isleya plz khulkar batayea. Allah hafiz 
Answer 1 – duaein mukhtalif hain, ager dua ki hidayat main jima se pehle likha hai to shohar ko chahiye ke jab jab jima kare wo dua phare, or ager sirf shadi ki pehli raat likha hai to is dua ko is hi raat pharna hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 973). 2 – kar sakte hain. 3 – kar sakte hain. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236, email rcvd from A.Sistani(d.b)+ e-mail rcvd from A.Sistani d.b, dated: Jan 20, 2012). 4 – laga sakta hai. 5 – choos sakti hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). 7 – dekh sakte hain. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5). Note Question no 6 or bache per kya kya chezain asar andaaz hoti hai in ko jaanne ke liye kitaab e Tehzeeb ul Islaam baab no 4 ka mutalia (study) karain). Update on dated 20-11-2015.( Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.