Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalaam-O-Alaikum, Meri Shak karne ki adat hai, meri mangni ho chuki hy or mai apni mangetar pe boht shak karta hon, har choti choti bat pe shak hota hay or apni mangetar se sawal karta hon jis waja se hamari larai ho jati hy or ab to yeh roz ka mamool ban gaya hai, or kch batain aisi hain jo k mere zehen mai bethi hui hn jis wja se mere dil mai shak ata hy lekin woh batain koi galat nahi thi jo mere shak ki wja banain, or agr koi bhi purani bat nikal ati hy to mjhe boht gussa ata hy or mai galat hota hon or galat galat batain kar jata hon or isi wja se meri mangetar ko bhi gussa ajata hy or hum dono ki larai ho jati hy, or mai ab bhi yeh shak or larain karnay ki adat boht tang agaya hon, or ab yeh chahta hon k mere zehen se sab batain nikal jaen or meri shak karne ki adat bilkul khatm ho jae or agr kbhi koi purani bat nikal bhi aye to mjhe gussa wgera ya koi asar na ho or meri or meri mangetar ki larai na ho or hum dono hansi khushi rahen. Barai meherbani mere is sawal ka jwb zror dein or kch aisa hal bataen k meri yeh shak or gussa karne ki adat khatam ho jae. 
Answer Wssalam o alykum, Rozana subha ki namaaz ke baad jaa e Namaaz per 1000 martaba ya Allaho ka wird karain. (Ref : nawaa e saleheen , pg # 279 , 283 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.