Answer |
Wssalam o alykum, Sura e Ahzaab (sura # 33) ko hath say likh kar ik dabbay(box) mai band kar ke apne ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz ik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352).
sura taha ki ayat no 131 or 132 ko likh kar bazo par band lain. (Ref : tajalliyaat e Quraan , pg # 79).
sura e Yaseen ko ibtida se pharna shuroo karain, jab 1st mubeen tak ponhche to 41 martaba darj zeel ayat phar kar dua maangain, phir doosre din phir shuru se Sura e Yaseen ko shuro se pharye yahan tak ke 2nd mubeen tak ponhach jaain to 41 martaba us hi ayat ko phar ka dua maangain jis ko 1st din phara tha, or jab Sura e Yaseen main 7 martaba lafz e mobeen aaya hai to 7 rooz tak ye hi amal karain.
41 martaba pharne wali ayaat : Sura e Al-Hamd (Sura no 1) ayat no 4 is ke baad ye dua pharni hai allah umma an taqziya hajati(job ke liye Allah Taala se dua maangain).(Ref : nawaa e Saleheen , pg # 49 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). |