Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Asalamualikum Bhaijaan, ... Darasal Mujhe Kuch Sawalat Karne the ... ... Me Bahut Pareshan haal hu.. .... Me Apne ek ladki ko Nikah Karne ki niyat Se Mohabbat karta hu. or wo bhi meri hi tarah khoob mohabbat karti hai .. mere or uske maa-baap or saare karibi bhi yahi chahte the ki humari shadi ho jaye, ! Hum Dono Bade khush the par achanak ek masla aa gaya jisse ki humari shadi me rukawat aa rahi hai ... ... Actually wo mere mama jaan ki dhukhtar hai, jab paida hui thi to uski maa bahut kamjor thi, jisse uski maa ko dudh nahi aa raha tha or meri ammi ne bhi mere chote bhi ko janm diya tha to us ladki ko meri ammi ne dudh pilaya tha. Us Waqt ye baat na to kisi maloom thi or na hi sochne ka mauka mila kyuki us waqt us ladki bhukh badi thi 
Answer Wssalam o alykum, Ager yaqeen ho ke doodh pelane ke waqt tamaam sharait mojood thi to ap us se shadi nahi kar sakte, lekin ager sharait ke hone ka ilm na ho to shadi is sorat main kar sakte hain. Sharait ki malomaat k liay is link per click karain. http://www.sistani.com/urdu/book/61/3649/ . (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2438). Update on dated 18-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.