Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Asslam waliakum. Mera do mahino ki pregnancy k baad miscarage ho gaya.13 nov.iskliye mujhe kitnay din ka ghusul wajib hai.isko haiz mai shumar kiya jata hai yaa nifas mai . 
Answer Jo khoon aurat ko bache ka phela juz bahar aane se phele aye wo nifaas nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 499)Ye zarori nahi hai k bache ki khilqat mukamal ho balke agar us ki khilqat na-mukamal ho lekin khoon ka louthara ya ghoosh k tukra hone ki halat se ghuzar chuka ho aur phir ghir jaye to bhi jo khoon 10 din tak aye wo khoon nifaas hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #500) Aurat ko bacha paida honay k 10 din tk jo khoon ata hay osay nifaas kehtay hain, Ye ho sakta hai k khoon nifaas aik leheza se ziyada na aay laikin 10 din k baad aane wale khoon ko nifaas nahe khete.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #498, 504,501) Jo aurat ( haaz k hawale se ) adad ki aadat na rakhte ho agar ise 10 din se ziyada khoon na aay to saara ka saara nifaas hai agar wo aurat 10 din se phele pak ho jaay to zarori hai k ghusal nifaas kare aur apne ibaadaat maslan ( namaz waghaira ) anjaam de aur ghusal nifaas k anjaam se k baad us ka shoar us se jima ( humbistri) kar sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #505, 457 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.