Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Asalam o alaikum.kia koi larki hijab mai bahir ja sakte hai jis k baal nai sirf chehra nazar aye?kia female baghair chat k nimaz ada kr sakti hai?aur kia ek baligh larki na mehram se hath mila sakte hai baghair kise najaiz khwahish k? Mola e kainat a.s aap ko khush raky. 
Answer 1)Aurat ko chahye k sar k baal aur apna badan na-mehram mard se chupay lekin na-mehram mard k samnay chahra aur kalaiyon tk hath khulay rakh sakti hai leikin is surat mai haram mai mubtila honay ka khoaf ho ya kisi mard ko hath or chehra dekhana haram mai mubtila krnay k iraday sai ho to in donoo suratoo mai in ko chupana wajib hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2399). 2)Aurat khulay asman k nichay namaz parh sakti he. Albatta aurat k lye behter ye he k esi jagha namaz parhe jo na mehram se mehfooz hone k etebar se zyada mehfooz ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #777, 881). 3)Aurat k liay na mehram se hath milana jaiz nahi siwaay ye k dermiyaan main kaprha ya koe rukawat ho. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah # , Pg #271 , Eidition# 5). Update on dated 15-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.