Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question AOA, Mera sawal ye hy k, islam me stones " aqeeq" etc ki kia hesiat hy.Kia kuch stones kuch logo k lye suitable aur kuch k lye unsuitable ho sktay hain. Is k elawa naam ka stone nikalwana sahi hy? Agar sahi hy tou ye kon log nikaltay hain ? Please answer it. Jazak allah 
Answer Rasool ul Allah ne hazrat Ali as se farmaaya, Lal (red) aqeeq ki anghuthi (ring) pheno kyu k is ne khuda ki wahdaaniyat aur mere (rasool) ki nabuwat aur Ap (hazrat Ali) aur Ap ki aulaad ki imaamat ka iqraar kiya, Allah ne farmaaya jis haath me aqeeq ki anghuthi (ring) ho ghi me aatish jahanum me us haath ko azaab na karonga. Imam ali raza (a.s) ne farmaaya yaqoot ki anghuthi ( ring ) phenne se pareshani zaail hote hai Imam musa kazim ( a.s) ne farmaaya zamarrud ki anghuthi ( ring) phenne se mushkil aasaan hote hai Imam ali raza ( a.s) ne farmaaya zabarjad ki anghuthi( ring) phenne se faqeeri ,ameeri me badal jaati hai Imam jafar saadiq ( a.s) ne farmaaya jo firooza ki anghuthi( ring) phenne gha wo muhtaaj na hogha Imam jafar saadiq ( a.s) ne farmaaya dure najif ko dhakhne se khushi haasil hote hai (ref: tehzeebul islaam,allama baaqir majlesi, pg:32,36,38,39) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Note : In Ahadees se pata chalta hai k in stones ka insane per asar to hota hai 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.