Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question mara sawal ya ha k main ak larki ko pasand karta hoon 5,6 sal sy or us k sb ghr waly razi hain mary sath shadi karwany main par meri walda nhe maan rahi k wahan nhe karni tu kaya main apni marzi sy us k sath nikaha kar sakta hoon... 
Answer G han ap k liye apki walida se ijazat lena zaruri nahi hai q k maa kabhi bhi wali nahi ban sakti , or agr ap baligh hochuke hen to phir to wali (bap or dada) ki ijazat ki bhi zarurrt nahi hai albatta larki k liye apne wali se ijazat lena zaruri hai(Ref:Ayat-ul-Allah Sistani, Minhaj-ul-saliheen, Part#03 Pg#28, Masla#67-68) Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) Wazifa batanay k sath aap ko aik fiqhi maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: Jinse mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay.(Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.