Answer |
Jins e mukhalif se is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k gunnah mai mubtila honay ka khoaf mojoud hai.(Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69)
Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352)
Riwayat mai hai k jo shakhs subah k waqt kisi sai baat karnay sai pehlay 3 bar surah e maida surah # 5, ayat # 114, ki tilawat karay osay waha sai rozi milay gi jahan sai osay wahm o ghuman bhi na ho ga. (Ref : Kitab payam e shifa Pg # 232) ayat (rab,ban,a anzil alina . . . . . . khairur razaqeen )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) |