Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalam o alaikum. Mere concepts jaiz or najaiz hajaat k baray me clear nahi hain. Kya dua may apni khoi hui mubabbat ko wapis mangna or us shakhs se, jisse pehle rishta tha, usse rishta dobara qayam karna or shadi ki dua mangna, kya yeh sub jaaiz hajaat hain? Kya aisi dua qubool ho sakti hai? 
Answer Jins e mukhalif sai is had tak dosti karna k mohabbat ki had tak pounch jay, ye jaiz nahi hai q k ghunnah mai mubtila honay ka khof mojoud hay. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Note : Albatta shadi ki liye dua krne men koi harj nahi hai. Is k liye ham apko wazeefa dedete hen. Suraurh e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen pg # 352) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.