Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question istebra krne ke bad bhi mujhe peshab ke khatre ate hi hai kya mai namaaz padh sakte hai ya nahi plz plz bataie 
Answer Jis kisi shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat bhi pak hogi aur is sai wazu bhi batil na ho ga.jo mashqook ratubat( liquid) pheshaab k baad aur istibra se phele insaan se kharij ho wo pheshaab ka hokum rakhte hai yani najis hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.