Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Imam SEATANI. 
Question Salam, arz ye hay ke humara muhalla jo ke takreeban 70 Gharon per mushtemil hay or sab ik family ki terha reh rahe hain.aap se sawal ye hay ke ladies ka majalis may bagair kisi time table ke jis may aane jane ka koi time na hooo or transport ka bi maqool itezam na hoo or jis se un ke ghar may (BAAp,Bhai,SHOHER,BAchoon) to mushkilaat ka samna hojata hoo.kia aisi surat may un ka majlis may jana sahi hay.halanke humare ik Maulan sahib ne kai dfa doran majlis ladies ki is baat per un ko mana kia hay.per ladies bazid hain ke majlis MOLA (AS) ki hay is may jane se koi nahi rok sakta. 
Answer 1-Azadari karna takeedi mustahab hai. (Ref:Muharam ul haram, Mafhoom e pg:329 eidition 2008) . laikin agar waaldain ko is amal se aziyat phonchay or wo aulad ko jane se mana ker dain tu aulad k lie un ki mukhalifat karna haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1387). 3-Biwi k liay shohar ki ijazat se bahar nikalna maslan majlis e imam Hussain a.s me jana jaiz hai lekin shohar ki ijazat k baghair majlis main jana jaiz nahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, Mafhoom e sawaal # 193, pg #88). Update on dated 05-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.