Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question meray walid ko lawata ki gandi aadat hay. wo ham jins parast han. saray sheher ko pata hay. mjay b wazeh tor par pata hay. man un ka bara beta hon. meri umar 27 saal hay. mjay meray walid k is kam se nafrat hay, ab to mjay un se be nafrat hoti ja rai hay. man is muamlay men bot pareshan hon. muaashray men mera koi muqam nai hay, mera sawal ye hay k kia man apne walid ko roknay k liay koi tadbeer kar sakta hon, kia un ko is buri aadat se roknay ki mjay islam men ijazat hay? kia man is bat se tang a kar apna ghar hamesha k liay chor kar kisi aur jaga abad ho sakta hon. meri is mumla men madad karen aur mjay koi hall btaen. 
Answer Agar apko ahtemal ho k ap k walid per apki bat asar kregi or wo isko qabool krengi to amar bil maroof karna wajib hai aur gunah se rookna wajib hai, or agar baat qabool karne ka ahtemal no ho to ehteyat wajib ye hai k karahat aur naraazghi ka izhar ghunaghaar k is f nashaista kaam per Karen chahe jante ho k wo is ka asar nahe le ga.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2009 ) Aulad k liye apne waldain ko amar bilmaroof karte hoye ehteyat wajib ye hai k in ki narmi se renumai karen or kise bhi waqt waldain k samne sakhti se paish na ayen.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2011 )  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.