Answer |
Wssalam o Alykum, Allah Taale ke Rasool Muhammad (s.a.w) ne Apne Wasi o Khalefa Ali bin Abi-Talib (a.s) ko kitaab karte howe farmaya, ke eh ali! Sura e yaseen (Quraan e Majeed ka sura no 36 hai) phara karo, is main 10 barkatain hain ….. (us main se ik ye hai ke) kawara shadi shuda ho jaae ga. Lehaza sachi niyat se har raat ko sone se pehle Sura e Yaseen ki tilawat karain. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani # 18 , pg # 18).
Hazrat Imaam Jaffar o Sadiq (a.s) se marvi riwayat ke mutabiq Sura e yoosuf (sura no 12) ko likh kar 3 din apne ghar main rakhe or phir use wahan se utha kar ghar ki bahar wali dewaar main chupa de ke koi is se muttale na ho. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). |