Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question salam kia kisi namehram say dosti ki jai tu haraam hey jub key hum us say milna rahey ho aur agar milay tu bhi pardey may milay aur kia us say phone per baat ki jasakti hey i mean kia awaaz sunana haraam hey ya us may koi prb nahi?? khudha hafiz 
Answer Na-mehram say dosti jaiz nahi hay.Aik mard kisi khatoon say aisi batain kar sakta hay jin ka nateeja kisi akhlaqi fasaad ki soorat main na nikal raha ho jab kay koi aisi baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon kay saath kiya jana munasib nahi hota.isi tarah baghair lazzat kay iraday kay is ki batain bhi suni jasakti hain jab kay haram main na parnay ka itmeenan ho albatta is soorat main aurat ki zimmedari bhi hay kay wo apni awaz ko itna khoobsoorat aur baqreek na banaey jo insaan kay jazbaat ko ubharnay wali ho.Ref:Istiftaat A.Sistani Book-4 Q.No.124,125.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.