Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name ayatullah seestani 
Question 1..doosri shadi k liye pehli beevi ki ijazat zaroori hy ya nahi.. 2..waledain ka kharch zaroori hy ya beevi ka jabkeh mere pas kharch dena sirf ek komomkin hy or beevi nafarmaan bhi hy.. 3..faalnama nikala hy k talaaq doon ya na doon quraan k zreye wahan par yes aya hy to kia fareeza hy..  
Answer 1)-Dusri shadi k liay pehli biwi sai ijazat lena zaroori nahi hai.(Ref: Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part# 3, sawaal# 105,pg# 53) 2) Biwi ki rihaish,giza,libaas aur zindagi ke baqi zaroriyaat ka intezaam shohar par wajib hai chahe wo na_farman bhi ho lekin agar orat mard ko hmbistry ya jinsi lazzaton ky silsile men nafarman ho or uski khwahish puri na karti ho to akhrajat shohar per wajib nahi hen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2376) 3) Is hawale faalnama lena durust nahi hai.(Book: Istikharah Quraan, Edition # 01) Update on dated 08-01-2016.(Khuda apko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.