Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question A.a.s ma jb namza prhna jata hn to sajda ma bht bar pashab ka katra mare salwar ma gir jata hain plzz iss ka koi hal batayein 
Answer Wssalam o alykum, Mard ki sharam-gaah se peshaab o mani ke ilawa 3 esi ratobatain nikalti hain jo na hi pishaab hota hai or na hi mani, lekin in main se baaz mani jesi or baaz peshaab jesi hoti hain, or wo ye hain, 1 – wadi, 2 – mazi, 3 – wazi, or ye teno paak hain, na in se wazo totta hai, or na hi gusal wajib hota hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 70). Lehaza ager ap ko in qatro ke peshaab hone ka yaqeen na ho or ap ne peshaab karne ke baad istabra kiya ho to ye qatre paak hain or namaaz bhi sahi hai. Or ager ap ko in ke peshaab hone ka yaqeen ho to ager namaaz ke pore waqt main se thora sa esa waqt milta ho jis main ye qatre na nikalte hon to namaaz ko us waqt main pharain garche ager namaaz ke tamaam mustahabbat ko choor kar is waqt main namaaz pharna phare to mustahabbat na pharain. Or ager paak halat main pori namaaz pharne ke liye thora sa waqt bhi na mile to jitna hisa paak halat main phar sakte hain utna pharain, or ager ye qatre har waqt nikalte rehtain hon to phir ni ki parwa na karain or ap ki namaaz sahi hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 306 to 314). Note ager in ke peshaab hone ka yaqeen ho to Doctor ko dikhaain. (Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.