Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Agr jamat k satg nmaaz parhain or kuch raqat reh jain jo hum khud parhain or un main ghalti ho jay to kya hum sajda sahab karain gay mukamal refrence number k sath btain please  
Answer Jin cheezo ki waja se sajda seaf karna perta hai wo ye hai. Jab tashahood bhool jaay ,(2) 4 rakate namaz me dosere sajde k duran shak karna k 4 rakat perhi hai ya 5 rakat aur 3 surato me ehteyate wajib ki bina per zarore hai k 2 sajde sahw baja lay (1) ijmali tour per maloom ho k namaz k duran koe cheeze kam ya ziyada ho gae hai jab k namaz per sahi hone ka hokum ho (2) namaz ki halat me bhole se koe baat karna (3) jahaan salam na perhna zarori ho ,maslan pheli rakat ,wahaan bhole se salam perh lena. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1223 ) sajda sahw ka tariqa ye hai k namaz k salaam k baad insaan fouran sajda sahw ki niyat kare aur ehteyaat e laazim ki bina per peshaani kisi aise cheez per rakh de jis per sajda karna sahi ho is k baad insaan ko chahiay k baith jaay aur dobara sajde me jaay aur baith jaay aur tashahud perhe aur us k baad as-salaammu alaikum perhe . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1234 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.