Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Asslammoalaikum mera sawal ye hy keh insan pe namaz kb farz hoti hai aur pancho namazon ki sari sunnat farz aur nafl ke bare mein btaen 
Answer Larkay k baliq hone ki 3 elamatain hain, Naaf k niche aur sharamgha k upper sakht baalo ka aana,Mani ka kharij hona, 15 chand wale saal ka poora hona, chahray aur huthoo per sakht baalon ka aana, Larki 9 qamari (chand waly) saal pyray karnay k baad balig hoti hai(jab insaan baliq aur aaqil ho jaay to is per namaz aur dosray sherie ahkaam wajib ho jatay hain)(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #2215,2216,) 1) Rozana ki 5 namaze wajib hai.zohar,aur asar har aik ki 4 rakhat hai,maqrib ki 3 rakhat , esha ki 4 rakhat aur fajar ki 2 rakhat hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #717 ), Rozana ki mustahab (nafla ,sunat )namaze jume k din k ilawa 34 rakhate hain jin me se 8 rakhat zohar ki,8 rakhate asar ki , 4 rakate maqrib ki ,2 rakhate esha ki, 11rakhate namaz shab ki , aur 2 rakhate namaz subha ki . laikin Juma k din zohar aur asr ki 16 rakat nafal par 4 rakat ka izafa ho jata hai behtr ye hai k ye puri 20 rakatain zawal sai pehlay perhi jae saway 2 rakat k jin ka zawal k waqt parha jana behtr hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 752) Namaz Zohar , asar ki nafla (mustahab namaze) agar namaz zohar , asar k bad perhe jaay to qaza ki niyate se perhe jaay ghi. (Ref : Mujthid se poushey gye sawalat part #2 ques # 57 pg # 36) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.