Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Assalamualaikum, 1. Females ki maahi napaaki ke baad gusal ka kiya tarika hai. 2. gusal karne ki liye gusalkhane me dakhil hote waqat ki kya dua. 3. napaaki sai paak hone ki kiya dua hai. 4. agar maahi napaaki 5 din me band ho jati hai to 6 roz paak ho sakate hain ya nahi? kiya 6 roz Namaz or tilawat ki ja sakti hai. Shukria, Allah Hafhiz, 
Answer Wssalam o alykum, 1- ghusl ke tareeqe main koi farq nahi chahe maahwari ho ya janabat ka ya koi or, Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bina per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai(or betar ye hai ke badan men pehle sidha(-right-) or phir ulta(-left-) hissa dhoye).Gusal men bal baraber bhi badan un-dula reh jaye to gusal batil hota hai, lekin kan aur nak k anduroni hisson ka aur har us cheez ka dhona jo batin(yani badan ka undrooni hissa) shumar hoti hai wajib nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #360,373 ) 2- mustahab hai ke bawaqt e gusal e jumma o digar gusal karte waqt insaan ye duwa phare. (ash ha do an laa iila ha illallah wahdaho laa shareeka laaho wa ash ha do anna muhammadan abdoo ho wa rasooloo ho, allah humma sulli aala muhammadin wa aale muhammadin wa ijalni min altawaabeen wa ijalni min al mutahhareen) (Ref: nawaye saliheen, pg # 100). Ager 5din musalsal koon aaya ho or 6 rooz na aae or phir 9 or 10 rooz aae to ye orat 6,7,8 ko paakshumar hogi, jabke 9, 10 ko haaiz shumaar kiya jaye gi, to ehtiyaat e lazim ki bina per zaroori hai ke 6-7-8 tareekh ko un tamam umoor ko anjam de jo pak orat per wajib hain, or un umoor ko tark kare jo haaiza per haram hen.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #442).(ALLAH toofeeq main izafa farmaae).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.