Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question Ehtiat e Wajib ki bina par darhi moondhna jaiz nahi hai... iska matlab smjha dain zara k ehtiat e wajib kia h? 
Answer Ehtiyate wajib wo hukm jo ehtiayat k mutabiq ho or faqeeh ne us k sath fatwa na diya ho, ayse maslon men muqallid us mujtahid ki taqleed kr sakta hai jo aalam k bad ilm men sab se bara ho. Misal k tor pr, Agr mujtahid e aalam fatwa de to is ka muqallid is masale main kisi doosre mujtahid ke fatwe per amal nahi karsakta, han ager mujtahid e aalam fatwa na de balke ye kehe ke ehtiyaat is main hai ke yoon aamal kiya jaae( is ehtitiyat ko ehtiyaat e wajib kehte hain) , masalan kahe ke ehtiyaat is main hai ke namaz ki pehli or doosri rakat main sura e al hamd ke baad ik pori sorat phare to zaroori hai ke muqallid ya to is ehtiyaat per aamal kare(yanui surah alhamd k bad ek pura surah parhe) ya kisi doosre mujtahid ke fatwa per aalam fala aalam ka khiyaal rakhte howe aamal kare(yani jis mujtahid ki taqleed wo krta hai us k bad wala wo mujtahid jo dusron k muqable men sab se ziyada islami ahkamat ko samjhne ki salahiyat rakhta hai),pas agr wo mujtahid faqat sura e al hamd ko kafi samjta ho to dosri surat chhori jasakti hai.(Ref: Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla # 6& Fiqhi istlahat, Pg#486).(Khuda tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.