Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Agar talak sing ki jaya ya gawha ka sing khud kiya jaya to kia talaq ho jati haaaa 
Answer Aise talaq durust nahi hay, balkeh talaq main niche di gaae sharaait ka hona zarori hai, 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k mard talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, 31st edition, maslah # 2462 to 2472 , Allah Taala hi tofiqaat mian izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.