Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Salam. Mohtram mughey app se rizq k hawaley se app k diey gaey jawab ki mazeed wazahat ki darkhuwast hey. woh yeh k app ny kaha tha k rizq k liey sura-e-yousf ko likh kar 3 din bad ghar k bahir wali diwar mey chupa dyna hey tu mazeed wazahat yeh kar dain k sura-e-yousf ko kis waqt likha jaey fajar k waqt ya din k kisi bhi waqt jis din sura-e-yousf likhni hey ushe din se pehla din count hoga ya us k bad wala din or INK kon si use karni hey kiu k yahan ziyada tar kuch inks mey non hilal jawaroon ki ingredients use hoti hain or akhri wazahat yeh k mey apartment mey rehta hoon tu apartment ki aik diwar hey jo ahir ki janib hey jo ghar mey enter exit k liey hoti hey please jald se jald jawab dain. shukria 
Answer Wssalam o alykum, kisi waqt bhi likh lain, jab wazife ki niyat se Allah Qadir o Tawana per bharosa kar k rakhe ge wo pehla din shumaar ho ga, Najis Ink se quran ka aik harf likhna bhi haram hay. Sirah ko likh ker main darwaze k bahar is terhan chupa dain ke koi jaan na sake. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal , pareshani no # 30 , pg # 27) , (Ref : Ayatullah Khumeni(R.h),Tauzeehul masail , maslah # 138 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.