Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Ya Ali Madad....... Mere Do Sawal H,,, 1st Ye K Taqleed Krna Lazim H...??????????? Or Agr Lazim H Tu Kio Lazim H....????? 2nd Taqleed K Meanings Kia H...????? 
Answer 1)Imam Mehdi a.s. farmatay hein: “Gaibat e kubra k zamanay mai pesh aanay walay halaat k silsilay mein hammari hadison ko bayan karnay walay raviyon ki taraf roju karo q k wo humari taraf se tum par hujjat hein jis terah hum ALLAH ki taraf sai tum par hujjat hein.” Imam k is farman k pesh e nazar un tamaam logo par jo darja e ijtehad par faiz nhi hain, apnay zamanay k mujtahid ki taqleed krna wajib hai q k is k bagair in ki abadat aur aisay tamaam aamaal jin mai taqleed zaroori hai batil ho jatay hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) pg: 6) 1)Taqleed mujtahid k fatwe k mutabiq amal karney ka naam he is terah mujtahid ki raye k mutabiq jis kam ko anjam dena jaiz ho is ko anjam dain aur jis ko tark hona chahiye usay tark karain baghair is k keh is maslay me mazeed koe justuju aur tehqeeq karain. Goya aap ne apne amal ko haar ki terah mujtahid ki garden me daal dia he aur khuda k nazdeek is mujtahid ko apne naama e amaal ka zimedaar thehraya he. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl pg # 49) 2) Her mukallaf(baligh merd or aurat) per wajib hay k jo ijtehaad k darjay tak nah pohncha ho wo tamaam ibdaat or maamlaat or tamaam afaal(kaamo) k kernay or terk kernay main ya tu muqalid ho ya ehtiyaat per amal kerta ho.(Re: Ayatullah sistani(d.b), minhaajus saliheen part#1, maslah#1). 3) Jo khud mujtahid na ho aur na he ehteyat per amal karta ho us k lye wajib hai k kise mujtahid ki taqleed kare. Jis shaks ki taqleed ki jaay wo(1) mujtahid (2) mard (3)baliq(4) aqil(5) shia(6) halal zada(7)zinda ho aur adil ho ) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.