Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aagha Saistani 
Question 1.Agar Shia namaz kafi fasly ph available ho (1km) to Kia namaz ahle sunat ky aalim ky peechy parhi ja sakti hae? or is ki nayat frada ki ho gi ya jamat ki?treeqa kia hoge?agar jaaiz nhi to kia itahade umat ky izhar ky lye khabi kabhi ada ki ja sakti hae? 2.Khums ky lye muqarra date pr ager ap ky pas kuch paisy hun lakin ap ky zimy kuch qarz bhi ho jo aap forun ada na kr sakty hun jaisy leaze ph li gia ghari ky wajibat to kia hukm hae? 3.Mansoba bandi ky bary mn kia hukm hae? detail sy batayen? 4.Kia Shuhr apni bivi ka doodh pi sakta hae? agarchi wh chand qatry hi hun? 5.Agar Waledain fout ho gye hun to un ky zimy wajibaat olad pr wajib haen?or agar wajib nhi haen to kia olad agar chahy to un ky zimy wajibat ada kr sakti hae ya krwa sakti hae? 6. Aqeeqa krna wajib hae ya mustahab or tareeqa kia ho ga? 
Answer 1) Ehl e sunnat k saath onki namaz e jama,at main namaz perhna jaiz hay laikin zarori hay k khud hamd or sorah ki qir.at karain agarchah aahista hi ho tu namaz sahi hay laikin on k saath namaz e juma kaafi nahi hay, isi terah namaz e maghrib chonkeh waqt se pehlay hoti hay on k saath sahi nahi hay.(A.sistani(d.b),jaded masa’il, part#4, pg #181,183 ) . 2) Agar khums ki date tak qarza ada nah kia ho tu jitni raqam majood ho oska khums daina hoga.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#1231 ) 3)Aurat k lie jaiz he k wo hamila honay se bachnay k lie aisi tamam ehtiyaati tadabeer se istefida karay jo zarrar na pohanchati hoon.or aurat k liay hamal se bachane wali aisi adwiyaat ka istemaal jaiz hay jo ziyada nuqsaandah nah hoon chahay oska shohor raazi ho ya nah ho.laikin qaraar e nutfa(mani) k baad isqaat e hamal( abortion ) jaiz nahi hay.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Jadeed Masayl # 70,71,73). 4) Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay,laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah piaya jaay(yaani halaq say neechay nah utara jaay.) .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). 5 i) Agar bap ne apni kuch namazain na parhi hoon aur un ki qaza parhnay per qadir ho to agar is ne khuda k hakum ki na farmani kartay huay in ko tark na kia ho to ehtiyaat e wajib ki bina per is k barhay batay (elder son) per wajib he k baap k marnay k baad is ki qaza namazain parhain ya kisi ko ujrat de kar perhwa,ay aur maa ki qaaza namazain is per wajib nahi, Agar chahah behter he k oski bi perhay ya perhwa,ay.or koe bhi shaks merhoom ki qaza namaz perh sakta hay. 5 ii) Baap k merne k baad berhay baitay k liay ehtiyaat e lazim ki bina per zarori hay k baap k rozo ki qaza isi terah baja laay jaisay k namaz k sisilay main bayan kia gaya hay.wo ye bhi ker sakta hay k her din k badlay 750 gm khana kisi faqeer ko day dain.chahay wariso k razi honay ki sorat main miyat k maal se hi day dain. 5 iii) Jo haj mernay walay per wajib ho or qarza or maali wajibaat maslan khums, zakaat or radd e mazalim jin ka ada kerna wajib ho onhain merne walay k asal maal(yani meraas) se ada kerna zarori hay, agarchah merne walay ne on k liay wasiyat nah bhi ki ho. Laikin kaffaraat, nazar nazar kiay hoay hajj ki agar wasiyat ki ho tu 1/3 maal(meraas) se ada kiay jain.Laikin agar aap k walidain khums dainay ka aqida hi nahi rakhtay thay ya ye k khums daitay hi nahi thay tu zarori nahi hay k aap or dosray wariseen in dono ka wajib shuda khums ada karain.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1371,1683,1725,2682+ (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#, Maslah#744) . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1371) 6) Aqeeqa karna mustahab he.or mustahab hay k aqeeqa 7th din kia jaay or agar kisi majbori ya baghair majbori k takheer hojaay tab bhi ye saqit nahi hoga or is ko baad main kerna bhi mustahab rahay ga.or zarori hay k jaanwer 3 maweshiyoon main se ho: 1- bhairh, bakra, dumba(Sheep, Goat, Ram/Ewe) 2- Gaay, Bail, Bheens(Cow,Bull,Buffalo) 3-Ont(Camel). Aqeeqay k jaanwer ka mota hona mustahab hay. Munasib hay k aqeeqay k jaanwer ki haddiyo(bones) ko torha nah jaay or mustahab hay k daa,e(i.e nurse ya doctor jo bachay ki wiladat main maan ki madad kerti hay) ko aqeeqay k gosht ka 4th hissa diya jaay or oska hissa raan or kohlay(hip/bottom) per mustamil ho.or jaiz hay k iska ghost taqseem ker diya jaay ya isko pakaya jaay, isi terah jaiz hay k isko paka ker momineen ko daawat di jaay.Afzal hay k momineen 10 ya os se ziyada hoon or wo os main se khain or bachay k haq main dua karain. Or makhrooh hay k is gosht main se bachay ka baap ya wo jo baap k zair e kifalat hoon(maslan bachay k behen,bhai) kha,in or khaas taur per bachay ki maan balkeh ehwat e mustahab hay k maan is ghost k khanay ko terk karay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 394-5). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.