Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aagha Saistani 
Question 1.Agar Shia namaz kafi fasly ph available ho (1km) to Kia namaz ahle sunat ky aalim ky peechy parhi ja sakti hae? or is ki nayat frada ki ho gi ya jamat ki?treeqa kia hoge?agar jaaiz nhi to kia itahade umat ky izhar ky lye khabi kabhi ada ki ja sakti hae? 2.Khums ky lye muqarra date pr ager ap ky pas kuch paisy hun lakin ap ky zimy kuch qarz bhi ho jo aap forun ada na kr sakty hun jaisy leaze ph li gia ghari ky wajibat to kia hukm hae? 3.Mansoba bandi ky bary mn kia hukm hae? detail sy batayen? 4.Kia Shuhr apni bivi ka doodh pi sakta hae? agarchi wh chand qatry hi hun? 5.Agar Waledain fout ho gye hun to un ky zimy wajibaat olad pr wajib haen?or agar wajib nhi haen to kia olad agar chahy to un ky zimy wajibat ada kr sakti hae ya krwa sakti hae? 6. Aqeeqa krna wajib hae ya mustahab or tareeqa kia ho ga? 
Answer 1) Khud hamd or sorah ki qirat karain agarchah ahista tu namaz sahi hay laikin in k sath namaz e juma kafi nahi hay isi terah namaz e maghrib chun k ahle sunnat k han waqt se pehlay hoti hay in k sath sahi nahi hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Jadeed Masail,part#4, pg # 183) masail, part#4) 2) Agha Tabish. 3) G han mansuba bandi krna jaaiz hai lekin qarar e nutfa k bad isqate hamal jaiz nahi hia,(yani jab nutfa orat k rehm men thehr jaye to us k bada is hamal ko zaya krna jaiz nahi hia) lekin agr khoaf ho k hamal ka baqi rehna orat ki zindagi k liye nuqsandah ya na-qabil brdasht harj ka baais ho to agr hamal men agr jaan na pari ho to isqat jaaiz hai.lekin hamal men jan parne k bad bache ka zaya krna hargiz jaiz nahi hai.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tozeeh-yl-masaail,Jadeed Masaail, masala#69, pg #466) 4) G nahi ehtiyat e Wajib ki bina pr apni biwi ka doodh peena jaiz nahi hai.(Ref:Ayat_ul_Allah Sistnai (www.sisitani.org) 5) Agha tabish. 6) Aqeeqa mustahib hai. (Ref:Ayat Allah Sistani, Part#3,Page#118, Masla#394 )  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.