Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Aoa ... agar kisi ko hawa k ikhraj se wuzu toot janay ki shakayat ho or bohat zada ho kabhi aese ho k aik he wuzu se namaz parhi jae r zada tar aik he namaz k liye aik se zada baar wuzu karna pare or usse wehan bhi par gya ho tw isya hukm . hai.?  
Answer Agar kise ko Yaqeen ho kay Namaz kay Awwal e Waqt say lay kar Akhir e Waqt tak Aap ko itna waqfa mil jaey ga kay wuzu kar kay Namaz parh sakain to zaroori hay kay waqfay kay doraan namaz parh lain aur agar aap ko sirf itni muhlat milay jo namaz kay wajibaat ada karnay kay liye kaafi ho to is doraan sirf namaz kay wajibaat anjaam day aur zaroori hay kay Mustahib Afaal masalan AZAN, IQAMAT aur QUNOOT ko tark kar day. 2)Agar aap ko Wuzu kar kay Namaz ka kuch hissa parhnay ki muhlat milti ho aur Namaz kay dooran aik martaba ya chand martaba Peshab kharij hoti ho to Aihtiyat e Lazim ye hay is muhlat kay dooraan wuzu kar kay Namaz parhay laikin Namaz kay doraan Lazim nahi hay kay Peshab kharij honay ki wajah say dobara wuzu karay. 3)jis shakhs ko peshab qatra qatra aata rehta ho to os k lie zaroori hai k namaz k lie aisi thali istemal karay jis mai rui(cotton) ya koi aur cheez rakhi ho jo peshab ko doosri jighoo tk pouchnay sai rokay aur ehtiyat e wajib ye hai k har namaz sai pehlay najis shuda maqam ko dho lay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 306-311) 4)agar kise shak ko ye areza lahaq ho k riha(gas) rokene per qadir na ho to zarore hai k un loago k fareze k mutabiq amal kare jo pheshab aur phakhana rokhne per qadir na ho . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #314 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.