Answer |
Nikah ka bad wo ek sath namaz to parh sakte hen, albatta namaz k wqt kis andaz se khara hona hai uska tafseeli jawab kuch is tarah hai, 1)Jab bhi mard or aurat aik sath namaz perhna chahain tu ehtiyat e lazim ki bina par zarori hay k aurat mard se kam se kam itna pechay khari ho k os k sajda kerne ki jagah, sajday ki halat main mard k dono guthno k baraber ho.2) Agar koi aurat mard k barabar ya aagay khari ho or dono aik waqt main namaz perhne lagain tu ehtiyat e wajib ki bina per zarori hay k namaz ko dobara perhain, yehi hokum hay agar aik, dosray se pehlay namaz shuru ker day.3) Agar mard aur aurat aik dosray k baraber kharay hon ya aurat aagay kheri ho or dono namaz perh rahay hon laikin dono k dermiyan diwar ya pardah ya koi aisi cheez haa’il (maujood) ho k aik dosray ko na daikh sakain ya on k dermiyan 10 hath se ziada ka fasla ho tu dono ki namaz sahi hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # before 874 and 875) (Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 875)note : Is mai farq nahi parta k wo mard aur aurat sohar aur biwi hon ya koi aur hon. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |