Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question kiya kisi fasad kii jaga par namaz padna jayaz hai ya nahi 
Answer Zarori hai k insaan aise jagha namaaz perhe jaha namaaz pure perhlene ka ehtemaal (chance) ho laikin agar kise aise jagha umeed ki niyat se namaaz perhe jaha ise itmenaan ho k maslan hawa aur baarish ya (lougo) ki waja se waha pure namaaz na perh sake gha ittefaaqan se pure namaaz perh le to jaaiz hai or namaz bhi sahi hai.agar kohe aise jagha namaaz perhe jaha thehrna haraam ho maslan kise aise chat (roof) k neche jo anqareeb girne waali ho to wo ghunaghaar hoga laikin namaaz sahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, before maslah # 870,masla 870) namehram mard aur aurat ka tanhaai me aik aise jagha hona jaha ghuna me mubtela hone ahtemaal(chance) ho haraam hai. aur ehteyate mustahab(behter ) ye hai k aise jagha namaz na perhe (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #876 ) jis jagha ghaana ghaaya jaata ho ya haraam mouseqi bajaai jaati ho waha namaaz perhna baatil nahe hai laikin in ka sunna aur istemaal karna ghuna hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 877) roads aur ghali koche me agar ghuzarne waalo k lie baais zehmat na ho to namaaz perhna makroo hai aur agar in louqo ko zehmat ho to in k raaste me rukaawat daalna haraam hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 885) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.