Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question As Salam O Aliakum Wr Wb sir mera sawal ye hay k mai wuzu k liay astanja kerta hon tu peshab k 1,2 katray reh jatay hain tu mai wuzu ker leta hon phr mai namaz ki neat baandh leta hon tu namaz k doran aisa hota hay k aik adh drop nikal jata hay tu is se 1.kia mery namaz khatam ho gae hay means waste ho gae hay? 2. wuzu b toot gea hay ? 3.kia meray cloths b napaak ho gay hain mjay change kerna parain gay? ab day mai agr mai nay 5 times wuzu kia hay tu 2 bar aisa ho jata hay means 2 namazon mai tu mai kia keron ab mai cloth b bar bar change ni ker skta r namaz b thek se ni perh skta.please mery help kerain mai namaz achay tareekay se perhna chahta hon mjay bht dukh hota hay jub aisa hota hay tu.kitni bar mai nay again wuzu b kia mgr again aik adh drop nikal jata hay wo hota peshab ka he hay tu mai kia ker skta hon?mery namazin kabool hongee ya nahin..? mjay jaldi se reply kr dain please mai bht preshan hon ALLAH apko iska ajar day.ameen ALLAH HAFIZ As Salam O Aliakum Wr Wb 
Answer Jis shakhs nai peshab k baad istebra kia ho aur is k baad koi ratoobat(qatre) kharij ho jis k baray mai wo na janta ho k peshab hai ya koi aur ratoobat to wo pak hai. Aur agar kisi shakhs nai istebra na kia ho aur peshab krnay k baad kafi waqt guzr janay ki wajah sai osay etminan ho k peshab nali mai baqi nhi raha tha aur is doran ratoobat (qatre) kharij ho aur osay shak ho k pak hai ya nhi to wo ratoobat pak ho gi aur is sai wazooo bhi batil na ho ga. jo mashqook ratubat( liquid) pheshaab k baad aur istibra se phele insaan se kharij ho wo pheshaab ka hokum rakhte hai yani najis hai.aur us se wuzu bhi baatil hojaata hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 322) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.