Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Asslam O Alaikum! Rizq kee bandish, bemari, bayroozgar aur qarz kee preshani kaa maslah mera aur meray baray bahi kaa pechlaay takreeban 7 saloon saay chal raha hai, abb gahr mein bohat ziada preshani shru hoo giee hai, koie kaam shru karein tou awal hota naheen hai aur agar shru hoo jiaay tou iss qadir preshani aur takaleef atien hein keh majboran khatam karna parta hai aur mazzed qarz mein chalaay jaty hein, Bray mehrbani koie wazifa bata dejay jis say mamulat thek hoo jien, Jazaak'ALLAH , wsalam... 
Answer Rizq k liay: 1-Surah e talaq surah#65 ayat#2 ka akri hissa and ayat#3 puri yani(wa-maei yattqillaha yaj-al lahu makhraja sy........le kulle shaei-in qadra tak) rozana 3 baar parhain,awal-o-aakhir aik martaba durood bhi parh lain,rizq mai bohat izafa hoga,aur agr qarz ada krna hai tu isi ayat ko rozana 21 baar parhain.(ref:book payame shifa pg#229) 2-Dur e nazeem main heh agar koe in teen naamo ko har rooz 11 mertabah perhe gat u oski tangi e mash wusat e rizq main badal jay gi. ‘الکریم الوھاب ذوالطول’(alkareemul wahaabo zut,taul). (Ref: Nawa e saliheen, pg#345). 3- kisi aik namaz k baad har roz 15 mertaba awwal o aakhir salawaat k sath sorah maida(sorah#5) ki ayat# 114 ayaat perha karain tu bay hisab rizq ki farawani hogi.(Ref: Nawa e saliheen, pg#345). Qarz ki adaegi k liay: 1-Kitab sirrul mustatir sheikh bihae(r.h) main hazrat imam e riza a.s se riwayat hay k agar koe maqrooz ho or qarz ki adaegi ki koe sorat nazar nah aati ho tu sorah e ambiya(sorah#21) ki ayat# 87or 88 ko 442 mertabah perhe tu insha Allah os k qarze ki adaegi ki sorat paida ho jay gi.(Ref: Nawa e saliheen, pg#347). 2-Agar koe qarz daar ho jay tu sorah feel(sorah#105) ko likh ker bazo per baandh le tu is ka qarz ghaib se ada hoga. (Ref: Nawa e saliheen, pg#347). 3-Agar koe sorah deher(sorah#76) ko likh ker gale main daale tu is ka qarz ghaib se ada hoga. (Ref: Nawa e saliheen, pg#347).(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.