Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalam alaikum Allah apka khair kare, mera sawal yeh hai ki mere Abbu sharab(acohal) pite hain aur kisi ki baat bhi nahi mnate halaki woh hosh mein toh rehte hain , bawajud iske bhi woh hemin kabhi kabhi galiyan deete hain Na auz billah,, aur woh heart patent hain aur woh ciggarrete bhi bahut piney lagein hain kya karein hum bahut pareshan hain iss wajah se jab unko gusssa ata hain toh woh kisi ki nahi sunte hain...aur khana khaye baagair hi kabhi kabhi so jatein main dua krta hun unke liye namaz mein halaaki main 5 waqt ka namaaz toh nahi padh pata kyuki main ek BPO meein kaam kartaa hun night shift mein iss wajah se main sirf fajr ki namaz padhta hun aur kabhi kabhi time mila hain toh aur bhi namaze adaa krta hun...filhal aap mujhe batein main kya krun main waise hi bhaut pareshan hun hamare upar karz bhi bahut hain kyunki abhi recently humne makaan liya hain apna iss wajah se..In sha Allah aage bhi aapse salaah lenge Ammen Allah hafiz 
Answer Tafseer-e-Burhan men Janab-e-Rasool-e-Khuda se riwayat hai k Surah Mubaraka HAJJ likh ker agar nasha kerne wale per taweez bandha jaye to wo nashe se khud hi nafrat kerne lage ga hatta k use chorh dega. (Ref : Tajalliyat-e-Quran, Published By Idarah-e-Fragh-e-Taleemat-e-Aaima(a.s),Page#84)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Fuqahaa(rizwanul laah e alaihim) fermatay hain k namaz kisi halat main bhi saqit(maaf) nahi, iska matlab ye hay k na safar main saqit hoti hay or nah is k alawa main. Agar namaz ka waqt tang ho(or manzil e maqsood tak pohanchne se pehlay qaza hone ka khadshah ho) tu musalman musafir par wajib hay k wo chahay jahaaz(aero plan) main ho, kashti(ship) main ho, car main ho, train main ho, ruka hoa ho ya harkat main ho, intezaar gaah(waiting room) main no ya aam baghichah(public garden) main, raastay main ya apne kaam or duty ki jagah, gharz jahaan bhi ho wajib hay k namaz ko waqt main baja laay. (Ref:A.Sistani(d.b),Jadeed fiqhi masa,il, maslah# 64) . (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.