Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Sallam, maira sawal ya hy k mairi shaadi ko 3 saal ho gaya hay mairi wife ko baby nahi ho raha hay, mairi wife chati hay k mai us ki sister say shaadi karlu laykin mai apni wife ko nahi chorna chata hu, koi haal baya mai kia karu? do behno say nikha ho saqta hay? shukria. 
Answer Apki biwi jab tak apki biwi ki hesiyat rakhti hen tab tak ap apki biwi ki behn (apki saali) se nikah nahi kr sakte. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2341-2342).Update on dated –2015. Agar koi darj zail asmae husna ko talab e aulad ki niyat sai 40 roz tk har namaz k baad bila-nagah 40 martba prhay to wo sahib e aulad ho ga. Asma e husna ye hain “ ﯿﺎﺍﻭﻞ ﯿﺎﺑﺎﺮﺉ ﯿﺎﻤﺻﻮﺮ ﯿﺎﺨﺎﻟﻕ ﯿﺎﻤﺑﺪﺉ ” (Ref : Naway e Salaheen pg # 401) (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.