Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalamualaikum Agha mujey Ghusl e Janat ki Niyat or information bata sakte hain ab ki merbani hogi 
Answer Tertibi ghusal me ehtiyat e lazim ki bina per ghusl ki niyat( yaani ghusl janabat karta hoon qurbatan ilallaah ) k baad pehle pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360,357) Ghusl e janabat wajib namaz parhney k lie aur aisi dosri abadat k lie wajib hota he. Lakin namaz e miyat , sijda e sahv , sijda e sukhar aur quran majeed k wajib sajdoon k lie ghusl e janabat zurari nahi he. (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). Note: Niyat zaban se ya dil main kerna zarori nahi balkeh agar aik shaks tamaam afaal Allah taalah k hokum per amal kerne k liay baja lay tu kafi hay.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.