Question |
Assalam alekum
Main 7 saal se pet ki bemari se pareshan ho
Kabz bohat zada banta body me roz ultiya hoti
Meri halat itni down rehti ke ghar se bahar nahi nikal pata
Maine har ayurved dawai khai har hakeem dr ko bataya par dawai ka thik se koi asar nahi hota
Lagatar 3 month tak ek jaga ek time shifa ke liye wazaif padha abhi padh
Raha hu par Allha shifa nahi deta
Log bolte hai Allha ki zaad se na umid nahi hona
Lakin meri jaga koi dusra itni azmaish seh nahi sakta
Na umidi ke badal chaha gaye yaha
Par shifa nahi hoti na koi dua qabool hoti
Aisa kounsa gunha katdiya samhh nahi ata
Plz koi mashwara de |