Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Mere father ki warasat ka cause court ma thaa mere dada ne mere sab beto ka brabaer hisa rakh kr 3 khandan k logo ko gawah banaya thaa aur mere walid ne khud apni zindagi ma apne bhaion se apni warast talab ki jis pe unho ne kaha k dada ne apka hisa nhi rakha ha tamam jaidad humen hiba fe sabeel illah krdi ha jis pe mere walid ne mujhe mukhtar banaya ma ne sharyat court skardu ma cause kia magar 1 saal taq wahan sheikh sadiq sahab ne cause ko solf nahi aur humen boht mayausi hoi koi faisla na aane pr.us k baad ma ne court ma cause kia aur 5 saal tak larne k baad adalat ne ye keh kr cause kharij krdia k walid jis bete ko chahe hisa de jisko chahe na de.mere chacha mere dada se hen mgr meri sagi dadi se nhi ha.kia yahe insaaf ha? 
Answer Agar aap k dada ne apne tamaam beton (jis men aap k walid bhi shamil the) ko baraber ka hissa diya tha tu is sorat main sharan aap k walid ka us main hissa tha, lehaza ager qanoon ki madad se aap k liay hissa lena momkin hai to aap k liay meraas ka hissa lene ki koshish karna jaiz hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Jadeed Fiqhi Masaail, Mafhoom e Maslah # 1320). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.