Answer |
Shadi karna un mustahabat mai sai hai jin ki islam mai bohat ziada takeed ki gae hai is lie Rasool e Akram s.a.w.w. nai farmaya hai k “Jo shakhs shadi kar leta hai wo apna adha deen bacha leta hai.” is k alawa aur bhi be-shumar hadees moujood hain jin mai shadi karnay ki takeed ki gae hai laikin Jo shakhs shadi na krnay ki wajah sai fail e haram mai mubtila hota ho os par shadi krna wajib hai. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 385 pg # 231) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2407)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). |