Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question A.O.A HALAL OR HARAM JANWAR KA PATA KESY CHALTA HAI PLZ JALDI ANS DY SHUKRIYA 
Answer Wssalam o alykum, jaanwer ki 3 aqsam hain, 1 – pani k janwer jese machli waghera, 2 – urhne wale jese parinde, 3 – na-urne wala jese gaay, bakri waghera, 1 – Pani ka janwer : pani ke janwer main se chilke wali machli( ya jhenga machli) k ilawa koi halaal nahi hai, pas ager machli chilko wali ho or is ka Share tor per tazkiya kiya jaae to machli halaal hay.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 877 , eidition # 4th). 2 – Parinde : (i)Haram parinde, 1 – Har wo parinda jo cheerne phaarhne or panje wala ho haram hay. 2 –Kawwe ki tamaam aqsaam yahaan tak keh paharhi kawwe bhi ehtiyaat e wajib ki bina per haram hain., 3 –Har wo parinda jo urhte waqt paron ko maarta kam bay harkat ziyada rakhta hai or panje wala hai haram hota hay. 4 – ager parwaaz ki kefiyat se is k halaal ya haram hone ka taayyun karna momkin nah ho to ager wo parinda pota ya sangdana ya paaon ki pusht per kanta nah rakhta ho to haram hai, 5 – wo hewanaat jo baghair par k urhte hain maslan chimgadar, 6 – kirhay or makorhay. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2587 , 2588). (ii)Halaal parinde, 1 – Har wo parinda jo urhte waqt paro ko maarta ziyada or beharkat kam rakhta hai, wo halal hay. 2 – ager parwaaz ki kefiyat se is k halal ya haraam hone ka taayyun karna momkin nah ho to ager wo parinda pota, sangdana or paaon ki pusht per kanta rakhta ho to halal hai. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2587 , 2588). 3 – Na-urhne wale : Darinda sifat wale jin k bare barhe nakoon o panje hote hain in ka kahna haraam hai, jese sheer, lomrhi waghera. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 3, Maslah # 881 to 882 , eidition # 4th , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.