Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayatullah ul Uzma Al khoi 
Question Assalam -o- ailaikum, Al hamdo lillah mairay char (4) baitay hayn.Un kee age biltarteeb 21 Saal/19.5 Saal/ 11.5 Saal aur 9 saal ke hayn. Mai un per Namaz, Rozay kay liyea sakhtee kartaa hoon. Kya issa kerna saihee hay. aur yeah keh, kya mai apni aulad per deegar shari ahkam ( like maa ke izzat, sila-e-rehmi) kay liya bhee sakhtee kar sakta hoon ya naihee. Mairay donoo baray bachay AIK MBBS aur DOOSRA ENGENEERING ka student hay, kya mai dunyavi taleem kay liya bachoo per sakhtee kar sakta hoon. Please jawab zaroor deejeya ga. Was-salam -o- Ailaikum  
Answer Amar bil maroof wa nahi anil munkar is surat wajib hota hay jab maroof ka anjaam daina wajib or munkar ka anjaam daina haram ho or Amar bil maroof wa nahi anil munkar is surat mustahab hota hay jab maroof ka anjaam daina mustahab or munkar ka anjaam daina makhroh ho. Amar bil maroof wa nahi anil munkar main laazmi hay k khata kaar ki haisiyat o shaksiyat ko mad e nazar raka jaay keh osay aziyat or ihanat mehsoos nah ho or isi terah laazmi hay keh itni sakhti or dushwari say oski girift nah ki jay keh osay deen or deeni programe say nafrat paida ho jaay. Amar bil maroof wa nahi anil munkar k chand darjay(steps) hain: 1) gunahgaar say dili azhaar e bayzari maslan rukh morh laina or baat nah kerna. 2) Zabaan say waaz o nasihat kerna 3) Amali iqdaam maslan maarna or qaid kerna Or laazim hay keh abtida pehlay ya dosray darjay say ki jay or pehlay oska intekhab karain jis main aziyat kam or asar ziyada ho.or agar natija hasil nah ho tu bil tadreej sakhti or dushwari ikhtiyaar karain or agar dili or zabani azhaar e nafrat asar andaaz nah ho tu naubat amali darjay tak pohanch jati hay or ehtiyaat e wajib hay k teesray darjay k intekhaab k liay hakim e shara say ijazat lain. (ref: Ayatullah khoe (r.h.), Tauzee hul masail, maslah#2008,2010).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.