Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Mary uncle ki death ho chuki hn ur in ki koi aulad nhe hn ab in ki property ka Islam ky nazar ma sahi haqdar kn hn? 
Answer Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hoon chahe ek hi Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Waaldain or aulad hote hen. 2nd Group: Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hen. 3rd Group: chaha, phophi, mamu, khala. Bas Agar aap k uncle ki biwi maujud hen to property men se chautha (¼) hissa unko milne k baad baqi property uper wale 3 tabqon k mutabiq tarteeb-waar taqseem ki jaey gi, Or Agar aap k Marhoom uncle ki wife bhi nahi hen to phir puri property meeras k 3 tabqo k mutabiq taqseem hohi. Or jab tak ek tabqe k afrad mojud hon chahe ek hi ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahi di jaeygi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.