Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Asslam agar koi film dek ne ke baad muth mar le to oya ghusul kar na cha he ye agar hai to ghusul ka tharekha bathein 
Answer Istimna(kise tariqe se mani kharij) karna haram hai..(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462) mani kharij hone se ghusl janabat wajib ho jata hai. aur ye hi ghusal kafi hai namaaz perne k lie mazeed wuzu ki zarorat nahe hai(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 344,389 ) Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) Jis se ghunah hoya ho wo Suche dil se toba karni chahea. Parverdigar ne quran majeed me wada kia hai k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karay. (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba) Ethiat e wajib ki bina per fahash filmoo aur tasweeron ka dekhna haram he, agar chahae shak aur lazzat k bagair dekha jay. Laikin ye (kaam) roze ko batil nahe karta (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1576)(Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 463 pg # 254) Tertibi ghusal me ehtiyate lazim ki bi per ghusal ki niyat k baad phele pura sar o gardan aur baad me badan dhona zarori hai. 2) Agar koi shakhs badan ko sar se phele dho le to is k lye ghusl ka ieada (repeat) karna zarori nahe hai balke agar badan ko dobarah dho le to is ka ghusal sahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 360) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.