Answer |
Ager namaaz e fajar se pehle namaaz e tahajjud ke liye uthna mushkil ho to raat ko sone se pehle phar ke sosakti hain. (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 761).
Or Sura e Ahzaab (sura # 33) ko hath say likh kar ik dabbay(box) mai band kar ke apne ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz ik bar parh kar dua mangain. (Ref : Naway e salaheen pg # 352).
Wazifa batanay k sath aap ko ik Shariat e Muqaddasa ke maslay ki taraf mutawajah kia jata hai: is terhan ki dosti o mohabbat shadi se pehle jaiz nahi hai. (Ref : Nigah aur libas sawal # 106 pg # 69 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai) |