Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question assalamwalaykum...mere walid sahab marhoom ka inteqal 2011 me ho gaya tha aur unhe meeras me ek property mili thi jo hm logo ne use 2009 se bech rahe hai aur abhi kuch zameen bachi h to kya hme is property par khums dena hoga jo hm log amount pa rhe h....shukriya 
Answer Wssalam o alykum, ager ye zameen ap ko wirasat main mili hai or ap ke walid sahib khums dete the or wafaat ke waqt un ke zimme kums ki raqam nahi thi ya kums dete hi nahi the to ap ke wirse main ane ke baad is zameen per or is ko beech kar milne wali raqam per koi khums nahi hai, lekin ager is zameen se ya is ki bech kar milne wali raqam se munafa kamaya jaae or wo saal ke ikrajaat ke baad bach jaae to munafe ki us bachi hoi raqam per khums hai. Or ager walid sahaab kums dete the or wafaat ke waqt un ke zimme kums ki raqam thi to miraas se kums nikaalna wajib hai.(Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 1722 to 1725 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.